Wednesday, May 24, 2006

Words to die for

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai


- Youth of the country

3 Comments:

Anonymous Anonymous said...

To add to it ..

Jo Khoon abhi na khaule woh khoon nahin pani hai.
Jo desh ke kaam na aye woh kaisi jawani hai.

Can you tell me who said this. This was the quote at the start of RDB.

- Anup

1:02 AM  
Anonymous Anonymous said...

I really enjoyed looking at your site, I found it very helpful indeed, keep up the good work.
»

11:02 PM  
Anonymous Anonymous said...

This site is one of the best I have ever seen, wish I had one like this.
»

2:59 AM  

Post a Comment

<< Home